Multilingual Previews, Reviews, Interviews & Point of Views...of/for/with/about various products, movies, books, people, things & events...

Friday, September 13, 2013

Satyagraha Movie Review

Satyagraha Movie Review



Movie dekh to li thi 10-12 din pehle Review late de raha hun...

Prakash Jha ki as a Director log bahut taareef karte hai ya izzat karte hai. Ab pata nahi aap log maanenge ya nahi is izzat ka ek bada hissa is wajah se kyoki wo serious-social issues chunte hai...arre sachchi...personal experience hai mujhe to, kai baar sambodhano mey Mohit Sir se Mohit ji....Mohit Bhai k baad Mohit tak pahuncha hun jaise jaise logo ne serious se shuru kar baaki genres ki cheezen padhi meri. Jokes apart unke career par gaur karen to usme satta, rajneeti k sangarsh aur parde k peeche k khel, antardwand par zor rehta hai.

Ab bhi unhone ek corrupt system k khilaaf khade hue ek ahinsavaadi buzurg Dwarika Anand ki kahani dikhayi hai. Yahan bhi unhone apna trademark monotonous style use kiya hai twists-angles mey. Ab ye condition to impossible hai to isme buzurg aur us elake se jude kirdaar aakar naye samikaran banate hai. Mudde ki baat ye hai ki kahani par mehnat nahi ki gayi aesa laga ki Satyagrah, Lokpaal par koi aur movie na bana de us se pehle announce karke jaldi nipta do ye subject. Kahani k angles jinke aane par lagta hai ki ab to maza aayega wo yun hi nikal jaate hai jaise Dwarika Anand k engineer bete ki maut ek accident na hokar conspiracy hona jab khula to bahut dull tareeke se....climax bhi feeka laga.

Message dena hai to dhang se dijiye aese adhpake vyanjan se jiski kahani ya scenes yaad na rahe uska message kaise goonjega? Music mey Salim-Sulaiman k alawa Indian Ocean band dekh kar achchha laga...unka sangeet achchha tha par lyrics behtar ho sakti thi.

Acting mey Amitabh Bachchan ji aur Ajay Devgn ne kasar nahi chhodi hai aur roles k saath nyay kiya hai. Kareena ne bhi apna homework achchhe se kiya hai journalist k role par. Arjun bhi Prakash Jha k favorite ban gaye hai aur Lucknow k kuch chhatr neta yaad aa gaye unhe dekh kar. Amrita Rao typecast ho gayi lagte hai ek jaise kirdaaron ki range mey...journalist agar wo banti to challenge hota (low budget mey experiments karna aur commercial movie mey movie makers ko convince karna alag baaten hoti hai).

P.S. Iske kuch adhure scenes dekh kar Shahid Kapur ki Paathshaala movie ki yaad aa gayi. Matlab movies mey achchha climax hota hai, bura climax hota hai...Paathshaala mey to climax tha hi nahi...he he.  Waise Prakash Jha achchhe director hai par yahan kuch jaldbaazi dikhi unki aur production team ki...Satyagraha se kaafi better Rajneeti thi kyoki usme kum muddo par focus tha, to sabko justified weightage mila aur yahan mudde bahut zyada le liye gaye kahani mey....

421 Brand Beedi Rating - 4/10

421 Brand Beedi Grade - C

No comments:

Post a Comment